Tuesday, December 28, 2010

Aarambh Hai Prachand

Song: Aarambh Hai Prachand
Movie: Gulaal
Singer: Piyush Mishra

*** Hindi Song 'Aarambh Hai Prachand' Lyrics ***

Aarambh hai prachand bole mastko ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aarambh hai prachand bole mastko ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj indra dhanush ke baan pe utaar do
Aarambh hai prachand bole mastko ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj indra dhanush ke baan pe utaar do
Aarambh hai prachand

Mann kare so pran de
Jo Mann kare so pran le
Wahi to ek sarva shaktiman hai
Mann kare so pran de
Jo Mann kare so pran le
Wahi to ek sarva shaktiman hai
Krishna ki pukar hai ye bhagwat ka saar hai
Ke yudh hi to veer ka praman hai
Kaurvo ki bheed ho ya pandavo ka need ho
Jo lad saka hai wohi to mahan hai

Jeet ki hawas nahin kisi pe koi vash nahin
Kya zindagi hai thokro pe maar do
Maut ant hai nahin to maut se bhi kyun dare
Ye jaake aasaman mein dahaad do
Aarambh hai prachand bole mastko ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj indra dhanush ke baan pe utaar do
Aarambh hai prachand

Ho daya ka bhaav ya ke shauraya ka chunav ya ke haar ka woh ghaav
Ye tum soch lo
Ho daya ka bhaav ya ke shauraya ka chunav ya ke haar ka woh ghaav
Ye tum soch lo
Ya ki bhur ki bhaul par jala rahe vijay ka laal
Laal ye gulaal tum soch lo
Rang kesari ho ya mridang kesari ho ya kesari ho taal
Tum ye soch lo

Jis kavi ki kalpana mein zindagi ho prem geet
Us kavi ko tum aaj nakaar do
Bheegti maso mein aaj phoolti rago mein aaj
Aag ki lapat ka tum bakahar do
Aarambh hai prachand bole mastko ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhar do
Aan baan shaan ya ki jaan ka ho daan
Aaj indra dhanush ke baan pe utaar do
Aarambh hai prachand
Aarambh hai prachand
Aarambh hai prachand

*** Hindi Song 'Aarambh Hai Prachand' Video ***

No comments:

Post a Comment