Song: Woh Kaagaz Ki Kashti
Singer: Jagjit Singh
*** Song Lyrics ***
Ye daulat bhi le lo
Ye shoharat bhi le lo
Bhale chhin lo mujhse meri jawani
Magar mujhko lauta do bachpan ka savan
Woh kagaz ki kashti, woh barish ka pani
Mauhalle ki sabse nishani purani
Woh budhiya jise bache kehte the naani
Woh naani ki baaton mein pariyon ka dera
Woh chahere ki jhuriryon mein sadiyon ka phera
Bhulae nahin bhul sakta hai koi
Woh chhoti si raatein, woh lambi kahani
Kadi dhoop mein apne ghar se nikalna
Woh chidiya woh bulbul woh titali pakadna
Woh gudiya ki shaadi mein ladna jhagadna
Woh jhuulon se girana
Woh gir ke sambhalana
Woh pital ke chhallon ke pyare se tohafe
Woh tooti hui chuudiyon ki nishani
Kabhi ret ke unche tilon pe jaana
Gharaunde banana banake mitana
Woh maasom chahat ki tasvir apni
Woh khwabon khilauno ki jagir apani
Na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
Badi khoobsurat thi woh zindagani
*** Song Video ***
This blog has lyrics and videos of songs, mainly of the Indian artistes, and a few foreign artistes as well. Valuable suggestions to improve the blog page are most welcome. If you feel there are some lyrics missing here and should have been in, pl feel free to communicate the same to me in the comments sections or mail me at gaurav.daiict@gmail.com. Most of these works are copyright protected and wherever known to best of my knowledge, the due credits of singer, lyricist, music director etc have been mentioned.
Search This Blog
Tuesday, November 17, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment